Hey, friends. Jaisa ki aap sab jante hai Raksha Bandhan aane wala hai aur log iske bare me internet par kaafi kuch search kar rahe hai, maine socha ki ek post bana hi du. Is post me mai aap logo ke liye la raha hu Raksha Bandhan par 10 line in Hindi.
Lekin in lines ko likhne se pehle mai aapko sab kuch bataunga about Raksha Bandhan Hindi mai. Sabse pehle to ye bata du ki ye tyohar India me kaafi samay pehle se manaya ja raha hai. Is din behan apne bhai ki kalaai par rakhi bandhti hai.
Behan apne bhai ki shubh kamna aur raksha ke liye rakhi bandhti hai. Wahi doosri or, bhai apni behan ki raksha ka wada karta hai. Yah tyohar India me har koi manata hai. Agar aapko Raksha Bandhan ki history ke bare me jan’na hai to comment section me mujhe bataiyega, mai likh dunga kuch paragraph on Raksha Bandhan in Hindi.
Jaroor Padhe:
>> Mobile Se Paise Kaise Kamaye?
>> Top 5 Paisa Kamane Ka App 2019
>> Apni Website Se Paise Kaise Kamaye?
Raksha Bandhan Par 10 Line in Hindi
- Bhai-behan ka tyohar hai Raksha Bandhan.
- Hindu calendar ke Sawan mahine ki Poornima ke din ko yah tyohar manaya jata hai.
- Raksha Bandhan ka sahaj matlab hai raksha ka bandhan.
- Isiliye behan apne bhai ko rakhi bandhkar uske lambi aur healthy umra ki kaamna karti hai.
- Wahi doosri or bhai apni behan ki raksha ka wada karta hai.
- Raksha Bandhan par har tarah ke pakwan banaye jate hai.
- Rakhi mehngi aur sasti dono ho sakti hai. Halanki kisi bhi surat me inka mahatwa same hi hota hai.
- Is particular din ko mahilaon ko travel karte samay kiraya nahi dena padta.
- Kuch log ped-paudho par rakhi bandhkar unki raksha ka vachan dete hai.
- Agar bhai-behan alag alag rehte hai to rakhi courier bhi ki jati hai.
Agar aapko Raksha Bandhan par 10 line in Hindi ka post achha laga ho to isko apne dosto ke sath share jaroor kijiyega.
Jaroor Padhe: Jaldi Naukri Pane Ke 5 Best Upay
Aur ek baat, aapko batate chale ki humari LifeStyle wali website par aap bahut si chizo ke bare me jaan sakte hai jaise celeb news, life tips, relationship tips, personality development tips, and health tips. To Hinglish LifeStyle ko bhi visit karte rahiye.